If you’re looking for the best Motivational Poetry on inspiring and motivating images then congrats you found the right place.
Here you get the latest collection of 15+ Motivational Shayari in Urdu text with attractive & amazing images.
Best Motivational Poetry On Inspirational Pics:
Waqt Ne Sataya Dil Ne Rulaya Lekin Mein Pareshaan Nahi Hoon
Halaaton Se Dar Jao Mein Woh Insaan Nahi Hoon
وقت نے ستایا دل نے رولایا لیکن میں پریشان نہیں ہوں
حالاتوں سے ڈر جاؤ میں وہ انسان نہیں ہوں
Yahi Junoon Yahi Khawab Mera Hai
Wahan Chiragh Jala Do Jahan Andhera Hai
یہی جنون یہی خواب میرا ہے
وہاں چراغ جلا دوں جہاں اندھیرا ہے
Khud Se Jatne Ki Zid Hai Mujhay Khud Ko Harana Hai
Mein Behair Nahi Hoon Duniya Ki Mere Andar Ik Zamana Hai
خود سے جتنے کی ضد ہے مجھے خود کو ہرانا ہے
میں بھیڑ نہیں ہوں دنیا کی میرے اندر اک زمانہ ہے
Rukawaton Ko Tor Ke Khuf Peechay Chor Ke
Jo Aag Se Guzar Sakon Tou Kya Hai Jo Na Kar Sakon
رکاوٹوں کو توڑ کے خوف پیچھے چھوڑ کے
جو آگ سے گزر سکوں تو کیا ہے جو نہ کر سکوں
Shaakhein Agar Gir Rahi Hain Tou Patay Bhi Aayegay
Yeh Din Agar Buray Hain Tou Achay Bhi Aayegay
شاخیں اگر گر رہی ہیں تو پتے بھی آے گے
یہ دن اگر برے ہیں تو اچھے بھی آے گے
Click & Read: 20+ Best Attitude Poetry Collection in Urdu (Updated 2024)
Manzil Se Aagay Barh Kar Manzil Talash Kar
Mil Jaye Tujh Ko Dariya Tou Samandar Talash Kar
منزل سے آگے بڑھ کر منزل تلاش کر
مل جائے تجھ کو دریا تو سمندر تلاش کر
Jo Hogaya Usay Socha Nahi Karte
Jo Mil Gaya Usay Khoya Nahi Karte
Hasil Unhein Hoti Hai Manzil
Jo Waqt Aur Halaat Par Roya Nahi Karte
جو ہوگیا اسے سوچا نہیں کرتے
جو مل گیا اسے کھویا نہیں کرتے
حاصل انہیں ہوتی ہے منزل
جو وقت اور حالات پر رویا نہیں کرتے
Ghulami Mein Na Kaam Aati Hain Shamsheerein Na Tadbeerein
Jo Ho Zoq Yaqeein Paida Tou Kat Jati Hai Zanjeerein
غلامی میں نہ کام آتی ہیں شمشیریں نہ تدبیریں
جو ہو ذوق یقیں پیدا تو کٹ جاتی ہے زنجیریں
Woh Khud Hi Tay Karte Hain Manzil Aasmanon Ki
Parindon Ko Nahi Di Jati Taleem Uranon Ki
Rakhte Hain Jo Hosla Aasman Chhone Ka
Un Ko Nahi Parwa Kabhi Gir Janay Ki
وہ خود ہی طے کرتے ہیں منزل آسمانوں کی
پرندوں کو نہیں دی جاتی تعلیم اڑانوں کی
رکھتے ہیں جو حوصلہ آسماں چھونے کا
ان کو نہیں پروا کبھی گر جانے کی
Aaqabi Rooh Jab Bidaar Hoti Hai Jawanon Mein
Nazar Aati Hai Un Ko Apni Maznil Aasmanon Mein
عقابی روح جب بیدار ہوتی ہے جوانوں میں
نظر آتی ہے ان کو اپنی منزل آسمانوں میں
Nazdikyon Mein Door Ka Manzar Talash Kar
Jo Hath Mein Nahi Hai Woh Pathar Talash Kar
نزدیکیوں میں دور کا منظر تلاش کر
جو ہاتھ میں نہیں وہ وہ پتھر تلاش کر
Click & Read: 15+ Best Allama Iqbal Poetry Collection in Urdu With Inspirational Images
Marne Walay Tou Marte Hain Lekin Fana Hote Nahi
Yeh Haqeeqat Mein Kabhi Hum Se Juda Hote Nahi
مرنے والے تو مرتے ہیں لیکن فنا ہوتے نہیں
یہ حقیقت میں کبھی ہم سے جدا ہوتے نہیں
Har Sheesha Toot Jata Hai Pathar Ki Jot Se
Pathar Hi Toot Jaye Woh Sheesha Talash Kar
Sajdon Se Tera Kya Howa Sadiyan Guzar Gayain
Duniya Teri Badal De Woh Sajda Talash Kar
ہر شیشہ ٹوٹ جاتا ہے پتھر کی جوٹ سے
پتھر ہی ٹوٹ جائے وہ شیشہ تلاش کر
سجدوں سے تیرا کیا ہوا صدیاں گزر گیئں
دنیا تیری بدل دے وہ سجدہ تلاش کر
Jahan Rahega Wohi Roshni Lutaye Ga
Kisi Chiragh Ka Apna Makaan Nahi Hota
جہاں رہے گا وہی روشنی لٹاے گا
کسی چراغ کا اپنا مکاں نہیں ہوتا
Deyaar-e-Ishq Mein Apna Maqaam Paida Kar
Naya Zamana, Naye Subah Wa Shaam Paida Kar
دیار عشق میں اپنا مقام پیدا کر
نیا زمانہ, نئے صبح و شام پیدا کر